Mehfil-e-Ishq Sajao To Koi Baat Bane;
Daulat-e-Ishq Lutao To Koi Baat Bane;
Jaam Haathon Se Nahi Hai Peena Mujhko;
Kabhi Aankhon Se Pilao To Koi Baat Bane!
Har Sharaabi Ka Nasha Sharaab Hota Hai,
Yeh Azziz Rishta Bahut Kharaab Hota Hai,
Isliye Kehte Hain, Nasha Lena Hai To Lo Shayari Se,
Kyunki Har Shayar Ka Nasha Shabaab Hota Hai.
Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi;
Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi!
Kuch Sahi To Kuch Harrah Kehte Hain,
Log Hume Bigda Hua Nawaab Kehte Hain,
Hum To Badnaam Hue Kuch Is Kadar,
Ki Pani Bhi Peeyein To Log Sharaab Kehte Hain.
Wo Bhi Din The Jab Hum Bhi Piya Karte The;
Yun Na Karo Humse Peene Pilane Kee Baat;
Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab;
Utni Hum Paimaney Mein Chod Diya Karte The!
Aashikon ko mohabbat ke alava agar kuchh kaam hota,
Toh maikhane jake har roz yun badnam na hota,
Mil jaati chahne wali usse bhi kahin raah mein koi,
Agar kadmon mein nasha aur hath mein jaam na hota.
Main Talakhiye Hyaat Se Ghabra Ke Pee Geya;
Gham Kee Siyah Raat Se Ghabra Ke Pee Geya;
Itni Dakik She Koi Kaise Samajh Sake;
Yazdan Ke Vakiyat Se Ghabra Ke Pee Geya!
کیوں ڈھونڈتا پھرتا ہے پینے کو تو شراب؟
حرام شے ہے یہ ! اسکی کوئی جگہ نہیں
حرام ہے وہ شے ! جو مدہوش کر دے زیدی
ہم تو ہوش سے بیٹھتے ہیں ساقی کی محفل میں
Ye Kaali Kaali Botlein
Jo Hain Sharaab Kee,
Raatein Hain In Mein
Band Hamare Shabaab Kee!
Itni Peeta Hun Ki Madhosh Rahta Hun,
Sab Kuch Samajhta Hun Par Khamosh Rahta Hun,
Jo Log Karte Hai Mujhe Girane Ki Kosish,
Main Aksar Unhi Ke Saath Rahta Hun.
Shikan Na Daal Jabin Par Sharab Dete Hue;
Ye Muskurati Hui Cheez Muskura Ke Pila!
Teri Yaad Ne Humhe Jeene Na Diya,
Chain se Humko Ab Marne Na Diya,
Hum Peethe Hai Teri Yaad Main Zaalim,
Par Iss Duniya Ne Hame Peene Na Diya.
Ithni Peetha Hum Ki Madhosh Rahtha Hum,
Sab Kuch Samchtha Hum Par Khamosh Rahtha Hum,
Jo Log Karth Hai Mujhe Girane Ki Koshish,
Main Aksar Unhi Ke Saath Rahtha Hum.
Dil Pe Jab Se Sharaab Ka Pehre Lag Gaya,
Gam KA Andar Aane Ka Raastha Band Ho Gaya,
Zubaan Ne Jab Se Sharab Ko Choo Liya,
Uska Naam Hamesha Ke Liye Bhool Gaya!.
Pita Hun Jitni Utni Hi
Badhti Hai Tishnagi,
Saqi Ne Jaise Pyaas Mila
Di Sharab Mein!
Sharaab Dard Ki Dawa Hai,
Peene Se Koi Kharaabi Nahi,
Dil Ke Dard Se Peete Hai,
Waise Hum Sharaabi Nahi..!
Thoda Gum Mila Tho Khabara Ke Pi Gaye,
Thodi Khishi Mili Tho Mila Ke Pi Gaye,
Yoo Tho Humain Na Thi Yeh Peene Ki Aadath,
Sharab Ko Thanaha Dekh Tharas Kha Ke Pi Gaye.
Meri Mohabbat Ki Taqdir Dekho,
Jo Ruthe The Unke Paigam Aa Rahe Hi,
Jab Maar Dala Meri Pyaas Ne Mujh Ko,
Wo Aankhon Main Leke Jaam Aa Rahe Hi…!