Rehta hu maikhane mein
to sharabi na samaj mujhe;
Har wo shakhs jo masjid se
nikle namazi nahi hota.
Khali Hai Abhi Jaam,
Mein Kuchh Sochh Raha Hun;
Aaye Gardishe Ayyam,
Saaqi, Saagar Ko Zarra Thaam,
Mein Kuchh Sochh Raha Hun!
Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.
Yaaron Ki Mehfil Aise Jamai Jaati Hai;
Kholane Se Pehle Botal Hilaayi Jati Hai;
Fir Tute Dil Waalon Ko Awaaz Lagayi Jati Hai;
Ke Ao Yahan, Dard-e-DiL Ki Dawa Pilayi Jati Hai!
Masjid Khuda Ka Ghar Hai,
Peeney Ki Jagha Nahin;
Kaafir Ke Dil Mein Ja,
Wahan Khudaa Nahin!
Saaqi Gayi Bahaar
Dil Mein Rahee Havas;
Tu Minnaton Sey Jaam Dey
Aur Main Kahoon Key 'Bas!'
Woh Bhi Din They
Jab Hum Bhi Piya Karte They;
Yun Na Karo Hamse
Piney Pilaney Ki Baat;
Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab Hai;
Utni Hum Paimaney Mein
Chhod Diya Kartey They!
Na Tum Hosh Mein Ho
Na Hum Hosh Mein Hain;
Chalo Maikade Mein
Wahin Baat Hogi!
Mahekta Hua Jism Tera Gulab Jaisa Hai;
Neend Ke Safar Mein Tu Khwaab Jaisa Hai;
Do Ghoont Pee Lene De Aankhon Kee Mastiyan;
Nasha Teri Aankhon Ka Sharab Ke Jaam Jaisa Hai!
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai;
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai;
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye;
Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai!
Kehte Hai Pee Ne Wale Mar Jate Hai
Bhari Jawani Me;
Hum Ne Toh Dekha Hai
Buzurgo Ko Jawan Hote Maikhane Me!
Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log;
Lamhon Mein Zamaane Dhoondhte Hain Hum Log;
Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saqi;
Peene Ke Bahaane Dhoondhte Hain Hum Log!
Sab Kehte Hain Ki Buri Hai Yeh Sharaab;
Maine Bhi Maana Ki Yeh Sharaab Nasha Chadati Hai;
Fir Puchte Hain Sab Mujhse Ki Kyon Peeta Hun Main;
To Kya Bataun Yaaro Yeh Sharab Hi Hai Jo Unka Gham Bhulati Hai!
Gham Is Kadar Barhey Ke Mein Ghabra Ke Pee Gaya;
Is Dil Ki Be-Basi Pe Tarss Kha Ke Pee Gaya;
Thukra Raha Tha Mujh Ko Bari Der Se Jahan;
Main Aaj Sab Jahan Ko Thukraa Ke Pee Gaya!
Masjid Khuda Ka Ghar Hai;
Peene Ki Jagha Nahin;
Kaafir Ke Dil Mein Ja;
Har Kisi Baat Ka Koyi Jawaab Nahi Hota;
Har Naam Ishq Mein Kharab Nahi Hota;
Yun To Jhum Lete Hain Nashe Me Rehne Wale;
Magar Har Nashe Ka Naam Sharab Nahi Hota!
Yu Toheen Naa Kar Sharaab
Ko Kadwa Keh Kar;
Zindgi Ke Tajurbe Sharaab Se Bhi
Kadwe Hote Hein!
Kal Ke Liye Kar Aaj Na Khisat Sharab Mein;
Yeh Suu-e-Zan Hai, Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein!
Kaash Humein Bhi Koi Samjhane Wala Hota;
To Aaj Hum Itne Nasamjh Na Hote;
Kaash Koi Ishq Ka Jaam Pilane Wala Hota;
To Aaj Hum Bhi Is Sharab Ke Deewane Na Hote!
Ek Bewaafa Ki Yaad Mein,
Maine Jam Utha Liya;
Fir Lagaya Bread Pe,
Aur Fatafat Kha Liya!
Please Note: Saare Aashiq Bevde Nahi Hote,
Kuch Bhuke Bhi Hote Hain!