Kahin miley to us sey yeh kehna …
K tanha savan bita chooka hoon
Main sare armaan jala chooka hoon
Jo sholey bherkey they khavahishon k
Wo ansoo‘oun se bhujha choka hoon
Kahin miley to us sey yeh kehna …
Baghair us k udaas hoon main
Badalti rut ka kiyas hoon main
Bujha de apni muhabbatoon se
Sulagti sadion ki piyaas hoon main
Kahin miley to us sey yeh kehna …
Wo jazbey mere uchaal gia hey
Jafaa k sanchey mai dhal gia hey
Na badley mousam b itna jaldi
Wo jitna jaldi badal gaya hey
Kahin miley to us sey yeh kehna …
Main chaak daman ko see raha hoon
Bohat hi mushkil main jee raha hoon
Diya jo nafrat ka zehar usney
Samaj k amrat wo pee raha hoon
Kahin milay to us sey yeh kehna …
Faseelay nafrat gira raha hoon
Gaye dinon ko bhula raha hoon
Wo apney wadon sey phir gaya hey
Main apney waadey nibah raha hoon
Kahin milay to us sey yeh kehna …
Yeh kesi uljan main jee raha hoon
Main apney saiy se dar raha hoon
Jo ho sakey to samait ley wo
Main tinka tinka bikhar raha hoon
Kahin milay to us sey yeh kehna …
Na dil main koi malal rakhay
Hameshaa apna khial rakhay
Wo saray gham apnay mujko de day
Tamam khushian wo sambaal rakhay
Kahin milay to us sey yeh kehna
KAHIN MILEY TO US SEY YEH KEHNA …