Teri Yaad Ne Hamhe Jeene Na Diya;
Chain Se Humko Ab Marne Na Diya;
Hum Peete Hai Teri Yaad Me Zalim;
Par Iss Duniya Ne Hame Peene Na Diya!
Kabhi Yaroon Ki Mehfil Me
Baith Ke Hum Bhi Piya Karte The;
Kabhi Yaroon Ke Yaar Ban
Ke Hum Bi Jiya Karte The;
Zindagi Ne Ki Bewafi ,Warna;
Hum Bhi Zingadi Se
Pyar Kiya Karte The!
Maikhane Saje The,
Jam Ka Tha Daur;
Jam Me Kya Tha
Ye Kisne Kiya Tha Gaur;
Jam Me Gum Tha
Mere Armano Ka;
Aur Sab Kahe Rahe The
Ek Aur,
Ek Aur!
Hum Lakh Achhe Sahi
Log Kharab Kahte Hai;
Bigda Hua Wo Hamko
Nawab Kahte Hai;
Hum To Aise Badnam Ho Gaye Hai Ki;
Paani Bhi Piye
To Log Sharab Kehte Hain!
Tohfe Mein Gulaab Lekar Mat Aana;
Kabar Pe Chirag Lekar Mat Aana;
Buhut Pyaase Hain Hum Barso Se,
Ae Dost;
Jab Aana To Sharaab
Ki Bottle Aur Do Glass Lekar Aana!
Peenay Dai Sharab Masjid Main
Baid Kay Ghalib;
Ya Woh Jaga Bata Jahan
Khuda Nehen Hai!
Tohfe Mai Mat Gulaab Lekar Aana;
Meri Qabr Par Mat Chiraag Lekar Aana;
Bahot Pyaasa Hoon Barso'n Se Main;
Jab Bhi Aana Sharaab Lekar Aana!
Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage.
Pee hai sharab har gali har dukan se,
Ek dosti si ho gai hai sharab ke jaam se,
Guzre hain hum ishq mein kuchh aise mukam se,
Ke nafrat si ho gai hai mohabbat ke naam se.
Hamesha Yaad Aati Hai Unki;
Aur Mood Ho Jata Hai Kharab;
Tab Hamesha Lekar Baithe Hai Hum;
Ek Hath Me Kalam Aur Ek Hath Me Sharab!
Ek jaam ulfat ke naam,
Ek jaam mohabat ke naam.
Ek jaam wafa k naam,
Puri botal bewafa ke naam,
Aur pura theka doston ke naam.
Raat chup hai magar chand khamosh nahi,
Kaise kahoon aaj phir hosh nahi,
Is tarah dooba hoon teri mohabbat ki gahrai mein,
Hath mein jaam hai aur peena ka hosh nahi.
Rok do mere janaze ko zaalimon,
Mujh mein jaan aa gayi hai,
Peeche mud ke dekho kameeno,
Daru ki dukan aa gayi hai…
CHEERS !!
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log;
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log;
Tu Zehar Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi;
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log!
Teri aankhon ke ye jo pyale hain,
Meri andheri raaton ke ujale hain,
Peeta hoon jaam par jaam tere naam ka,
Hum to sharabi be-sharab wale hain..!!
Madhhosh hum hardam raha karte hain,
Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain,
Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron,
Jinka chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.
Gham is kadar mila ki ghabra ke pee gaye,
Khushi thodi si mili to mila ke pee gaye,
Yun to naa thi janam se peene ki aadat,
Sharab ko tanha dekha to taras khaa ke pee gaye.
Fiza Ko Mahakati Shaam Ho Tum,
Pyar Mein Chhalakta Jaam Ho Tum.
Tumhe Dil Mein Chhupaye Firte Hain,
Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum..!
Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi;
Aao Kahin Sharab Piyein Raat Ho Gayi!
Na Kar Aisi Naadani Teri Chahat Hai Anjaani,
Tujh Me Hai Aisi Khoobi Jiski Hu Mai Deewani,
Sadke Jaau Saau Baar Arree Abb Maan Bhi Jaa,
Hua Teer Jigar Ke Paar Arree Abb Maan Bhi Jaa..!