Log Kehte Hain Ki Pyar Ek Aisi Bimari Hai,
Jis Ki Koi Dawa Nahi Hoti,
Magar Such to Yeh Hai Ki Bewafai Ek Aisi Dawa Hai,
Jis Se Yeh Bimari Dubara Nahi Hoti..!
Chhod To Diya Mujhe,
Par Kabhi Yeh Bhi Socha Tumne,
Ke Kabhi Jhooth Jo Bologe,
To Kasme Kiski Khaoge..!
Agar Wo Khush Dekh Ke Aansu Mere Aankhon Mein,
Khuda Kasam Hum Muskurana Chhod Denge,
Tadapte Rahenge zindagi Bhar Dekhne Ko Usko,
Kasam Se Unki Tarf Nazrein Uthana Chhod Denge..!
Bas Ek Shishe Sa Tha Dil Hamara,
Na Jaane Kiske Liye Use Tod Diya,
Jahan Zarurat Thi Hume Bas Uski,
Wahin Akar Usne Sath Chhod Diya.
Ek Baat Zara Sunlo Meri,
Jaanlo Kya Hai Aakhri Khwahish Meri,
Shayad Tumhare Liye Ab Main Kuch Na Rahi,
Par Mere Liye, Main Bas Hun Tumhari.
Wo Humare Kab the Jo Begane Ho Gaye,
Zara Si Baat Thi Kya Fasane Ho Gaye,
Kya Use Ilzaam Dun, Kya Sunayein Haal-E-Dil,
Ab Koi Hoga Naya Hum Purane Ho Gaye..!
Teri Chaukhat Se Sir Uthaun To Bewafa Kehna,
Tere Siwa Kisi Aur Ko Chahun To Bewafa Kehna,
Meri Wafaon Pe Shaq Hai To Khanjar Utha Lena,
Main Shauq Se Na Mar Jaun To Bewafa Kehna..!
Kya Bataun Kaise Khud Ko Dar-Ba-Dar Maine Kiya,
Umr Bhar Kis Kis Ke Hisse Ka Safar Maine Kiya,
Tu To Nafrat Bhi Na Kar Payega Is Shiddat Ke Saath,
Jis Bala Ka Pyar Bekhabar Tujhse Maine Kiya..!
Tere Pyar Ne Diya Sukoon Itna,
Ke Tere Baad Koi Accha Na Lage,
Tujhe Karni Hai Bewafai To Is Ada Se Kar,
Ke Tere Baad Koi Bewafa Na Lage.
Us Roz Dard-o-sitam Ki Raat Hogi,
Jis Din Darr Se Ruksat Unki Baraat Hogi,
Yeh Soch Kar Aksar Uth Jata Hun Neend Se,
Ki Kisi Gair Ki Baahon Mein Meri Kaynaat Hogi.
Kabhi Kabhi Toh Ro Padti Hai Yunki Yeh Aankhen,
Udaas Hone Ka Koi Sabab Nahi Hota,
Main Apne Dil Ko Yeh Baat Kaise Samjhau,
Ke Kisiko Chahne Se Koi Apna Nahi Hota..!
Fareb Tha Hansi Mein Aashiqui Samajh Baithe,
Maut Ko Hi Apni Zindagi Samajh Baithe,
Waqt Ka Mazak Tha Ya Badnaseebi Hamari,
Uski Do Baaton Ko Chaahat Samajh Baithe.
Na Milta Gham to Barbadi Ke Afsaane Kahan Jate,
Duniya Agar Hoti Chaman to Virane Kahan Jate,
Chalo Acha Hua Apno Mein Koi Gair to Nikla,
Sabhi Agar Hote Apne to Begane Kahan Jaate.
Sataogi Mujhko Rulaogi Mujhko,
Par Kis Tarah Bhula Paogi Mujhko,
Khuda Jane Kya Haal Hoga Tera,
Jab Gairo Ki Baahon Mein Paogi Mujhko.
Beimaan Hai Tu Farebi Hai Tu.
Yakin Tha Jo Aaj Chur Ho Gya.
Kisi Bhi Kabil Nahi Hai Tu.
Tera Zikr Bhi Karun Ab Is Kabil Nahi Hai Tu.
Ab Mere Kisi Kam Ka Nahi Hai Tu.
Pyar Sikha Kar Woh Juda Ho Gaye,
Na Socha Na Samjha Bas Khafa Ho Gaye,
Ab Kis Ko Hum Apna Kahenge,
Woh Bhi Auron Ki Tarah Bewafa Ho Gaye.
Baki Kuch Nahi Ab Zamane Mein,
Zindagi Guzar Rahi Hai Tujhe Bhulane Mein,
Ab Kyun Yaad Aate Ho Itna Dur Jaane Ke Baad,
Shayad Tu Khush Hai Mujhe Yun Rulane Mein..!
Kisike Liye Ab Yeh Aankhen Hum Num Na Karenge,
Woh Bhi Chale Gaye Hain Koi Gham Na Karenge,
Hogai Khata Humse Kisiko Jaan Se Zyada Chahne Ki,
Ab Yeh Khata Dubara Kabhi Hum Na Karenge.
Manzar-e-ishq Mein Sirf Bahaarein Hi Samayi Thi,
Jab Tak Dil Mohabbat Ki Sacchai Se Anjaan Tha,
Mehboob Mein Mere Jannat Si Khumariyan Thi,
Jab Tak Dil Uski Bewafai Se Anjaan Tha.
Chalo Aaj Khamosh Pyar Ko Ek Naam De De,
Apni Mohabbath Ko Ek Pyara Amzaam De De,
Isse Pehale KAhi Roodh Na Jaaye Mausam Apne,
Dhadakthe Hue Armaann Ek Surmayi Shaam De De.