Sunn Lo Aye Aashiqo Maut Se Mat
Daro, Yaad Rakhe Zamana Kuch
Aisa Karo, Rukh Mohabbat
Ka Tum Ab Zara Mod Lo,
Ladkiyo Par Nahi Ab Watan Par Maro!
Lehrayega Tiranga Ab Saare Asmaan Par,
Bharat Ka Naam Hoga Ab Sabki Zuban Par,
Le Lenge Uski Jaan Ya De Denge Apni Jaan,
Koi Jo Uthayega Ankh Hamare Hindustan Par.!
Kyo Marte Ho Berham Sanam
Ke Liye, Duptta Bhi Nahi
Degi Kafan Ke Liye, Marna
Hai To Maro Is Vatan Ke
Liye, Kam Se Kam Tiranga
To Milega Kafan Ke Liye
"Jai Hind" "Jai Bharat"
Kuch Panne Itihaas Ke Mere Mulk Ke Seene
Me Shamsheer Ho Gaye, Jo Lade Jo Mare
Wo Shaheed Ho Gaye, Jo Darre Jo Jhuke
Wo Wazir Ho Gaye, Chahte Hain Koi Nek Kaam
Ho Jaye Meri Har Sans Desh Ke Naam Ho Jaye.
Main Bharat Varsh ke Abhivadan Ko
Swabikaar Karta Hoon Yaah Ki Chandni
Mitti Ka Gudgaon Karta Hoon Meri Itcha
Nahi Swarg Jake Moch Pane Ki Tiranga
Ho Kafan Mera Ye Armaan Rakhta Hoon.
Fod Denge Wo Har Aankh Dushman Ki,
Hum Aaj Nafrat Se Tujhko Jo Dekhe Sanam,
Maut Bhi Tere Sarhad Pe Aa Jaye,
To Muskura Kar Gale Se Laga Jayenge..!
Soor Kabir Hamare Hain Tulsi Raskhan Hamara
Hai, Aapas Me Ber Rakha Yadi Humne To
Nuksan Hamara Hai, Har Bharat Wasi Ne Milkar
Azaad Watan Karwaya Tha, Jung E Azaadi
Me Angrezo Se Bhi Naman Karwaya Tha, Sari
Dunia Me Ja Ja Kar Bharat Maa Ka Gungaan Karo!
Jab Talak Sans Chalti Rahegi Meri,
Daag Daman Me Teri Lagegi Nahi,
Jab Jarurat Padegi Hamari Tujhe,
Bandh Sar Pe Kafan Apne Aa Jayenge..!
Daulat Wale Mulko Me Hai Dil Chahat Se
Khaali, Khushaali Ke Parde Ke Andar
Hai Badhaali, Humne Dunia Ghoom Ke
Baat Itni Hai Jani, Karte Hain Maa Baap
Ki Khidmat Aaj Bhi Hindustani, Sare Jaha
Se Aaj Bhi Accha Hindustan Hamara Hai.!
Aankh Har Ek Nam Karti Unko Naman,
Desh Par Jaan Kurbaan Jo Kar Gaye,
Aanch Aane Na Di Hum Pe Koi Kabhi,
Haste Haste Jo Sarhad Pe Hi Mar Gaye..!
Jinke Haathon Se Tiranga Na Sambhala
Jaye, Aise Netaao Ko Sansad Se
Nikala Jaye, Apne Is Desh Ko
Ek Baat Bataani Hai Mujhe,
Aasteeno Me Koi Saanp Na Pala Jaye..!
Tumne Dekha Tirange Me Maa Baap Ko,
Bhai Behna Ko Saathi Ke Har Saath Ko,
Isliye Usko Tum Ne Na Jhukne Diya,
Sans Har Ek Us Pe Fidaa Kar Gaye..!
Happy Republic Day.
Idhar Dariya Bhi Hil Jaye Udhar Sehra
Bhi Hil Jaye, Bhala Us Cheen Ki Aukaat
Kya Dunia Bhi Hil Jaye, Agar Hum Naam
Par Mazhab Ke Ladna Chod De Doston, To
Bharat Desh Ke Aage Wo America Bhi Hil Jaye!
Amar Shaheed Mere Sanso Me Ho Tum,
Amar Shaheed Mere Khwaabon Me Ho Tum,
Desh Ki Har Ek Insaan Kahenge Watan,
Ke Siva Kuch Na Chahat Karenge Watan,
Pe Jiyenge Watan Pe Marenge...!
Ye Dil Hai Aur Jigar Apna Tiranga Jhuk
Nahi Sakta, Hai Dunia Ko Khabar Apna
Tiranga Jhuk Nahi Sakta, Hamare Desh
Ke Hindu Musalman Desh Ki Khaatir, Kata
Sakte Hain Sar Apna Tiranga Jhuk Nahi Sakta!
Uncha Tiranga Tera Shaan Rahega,
Dunia Me Bharat Ka Naam Rahega,
Bhagat Singh Subhas Mar Ke Zinda Rahenge,
Watan Ke Siva Kuch Na Chahat Karenge,
Watan Pe Jiyenge Watan Pe Marenge..!
Mann mein saari batein chipaye rakhna,
Agar kuch tumhe achha na lage to mann mein dabaye rakhna,
Kyunki hum bharat ke vaasi hai,
Waqute par hum dikha denge jamane ko,
Ki desh ko hum jaise jawan ko hai bachaye rakhna,
Jai Hind!!! Happy Republic Day!.
Tairna Hai To Samundar Me Tairoo
Nadi Naalo Me Kya Rakha Hai,
Pyar Karna Hai To Watan Se Karoo
In Bewafa Logon Me Kya Rakha Hai.
Aao Jhuk K Salam Karein Unko
Jinke Hisse Me Ye Mukam Aata Hai,
Khushnaseeb Hota Hai Wo Khoon
Jo Desh Ke Kaam Aata Hai
Happy 26 January!.
Aan Desh Ki Shaan Desh Ki,
Desh Ki Hum Santaan Hain,
Teen Rangon Se Ranga Tiranga,
Apni Yeh Pehchaan Hai Pehchaan Hai.